Aankh se door na ho – Ahmad Faraz

Aankh se door na ho dil se utar jaayega – Ahmad Faraz

Ghazal – Ahmad Faraz

Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega.

Doobte doobte kashti ko uchhala de du’n,
Mai nahi koi toh sahil pe utar jaayega.

Zindagi teri ata hai toh ye jaanewale,
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaayega.

Zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ko ‘Faraz’,
Zalim ab ke bhi na royega toh mar jaayega.

Ye aur baat ke es ahad ke nazar mein hoon

Ghazal – Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke – Ghazal Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke es ahad ki nazar mein hoon
abhi main kya ke,abhi manzil-e-safar mein hoon

Abhi nazar nahin aisee ki door tak dekhoon
abhi khabar nahin mujhko ki kis asar mein hoon

Pighal rahe hain jahan log shola-e-jaan se
shareeq main bhi usee mehfil-e-hunar mein hoon

jo chahe sada guzare, jo chahe thukra de
pada hua main zamane ki rahguzar mein hoon

Rukhsat hue parinde – Ghazal – atamjeetsingh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak – Ghazal – Atam Jeet Singh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak – Ghazal – Atam Jeet Singh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak
Khainch layega khoo-e-aabo-taab sahar hone tak !

Tum rukte kahan gar mai kah bhi deta thahar jao zara
chalne ki tumharee aadat hai pamana maiy hone tak

Kyon daudta mai sare raah rooh ko jo hota kisi karvat aaram
Kash ! bhar de koi ishrat-e-jaam tishnagi hone tak

Zulf bikhra ke zaalim ki ada maar hi na daale
taale ka likha padh lena ai jalwagaah shamo-sahar hone tak !

ग़ज़ल : रुखसत हुए परिंदे !

रुखसत हुए परिंदे इज़्तिराब शब् होने तक
खैंच लाएगा खूए आबो-ताब सहर होने तक !

तुम रुकते कहाँ ग़र मै कह भी देता ठहर जाओ ज़रा
चलने की तुम्हारी आदत है पैमाना मय होने तक

क्यों दौड़ता मै सरे राह रूह को जो होता किसी करवट आराम
काश ! भर दे कोई इशरत-ए-जाम तिश्नगी होने तक

ज़ुल्फ़ बिखरा के ज़ालिम की अदा मार ही न डाले
ताले का लिखा पढ़ लेना ऐ जलवा:गाह ! शामो-सहर होने तक !

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya – Ghazal-Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair-muqarrar – Ghazal – Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya – Ghazal – Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya
raazdan ka suragh-rasan phir kidhar gaya ?

Raet par tameer kar bandobast khushfaham
palat kar saaya-e-ragejaan ja ba ja gaya

Khwab-e-pareeshan khamosh ajnabee nava roo-e-tarz
lagta to aisa hee tha besabab idhar gaya !

Parvat manind jazba-e-maidan-e-shahsawar
dum-bad-jang khamdast hisne haseen utar gaya

Phool sare-rakhshan hue tajalli-rezan zarkash kiran
arzoo-e-baharan asar-ravaan gharaz ke sanwar gaya !

ग़ज़ल – ग़रज़ के संवर गया !

राज़ -ए-रुसवा ग़ैर-मुक़र्रर दूर जिधर गया
राज़दाँ का सुराग-रसां फिर किधर गया ?

रेत पर तामीर कर बंदोबस्त खुशफहम
पलट कर साया-ए-रगेजां जा ब जा गया

ख्वाब-ए-परीशाँ खामोश अजनबी नवा रूए-तर्ज़
लगता तो ऐसा ही था बेसबब इधर गया !

पर्वत मानिंद जज़्बा-ए-मैदान-ए-शहसवार
दम-बद-जँग खामदस्त हिस्ने हसीन उतर गया

फूल सरे रख्शां हुए तजल्ली रेज़ाँ ज़रकश किरन
आरज़ू-ए-बहारां असर-रवाँ ग़रज़ के संवर गया !