Blog

Ye aur baat ke es ahad ke nazar mein hoon

Ghazal – Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke – Ghazal Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke es ahad ki nazar mein hoon
abhi main kya ke,abhi manzil-e-safar mein hoon

Abhi nazar nahin aisee ki door tak dekhoon
abhi khabar nahin mujhko ki kis asar mein hoon

Pighal rahe hain jahan log shola-e-jaan se
shareeq main bhi usee mehfil-e-hunar mein hoon

jo chahe sada guzare, jo chahe thukra de
pada hua main zamane ki rahguzar mein hoon

Rukhsat hue parinde – Ghazal – atamjeetsingh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak – Ghazal – Atam Jeet Singh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak – Ghazal – Atam Jeet Singh

Rukhsat hue parinde iztirab shab hone tak
Khainch layega khoo-e-aabo-taab sahar hone tak !

Tum rukte kahan gar mai kah bhi deta thahar jao zara
chalne ki tumharee aadat hai pamana maiy hone tak

Kyon daudta mai sare raah rooh ko jo hota kisi karvat aaram
Kash ! bhar de koi ishrat-e-jaam tishnagi hone tak

Zulf bikhra ke zaalim ki ada maar hi na daale
taale ka likha padh lena ai jalwagaah shamo-sahar hone tak !

ग़ज़ल : रुखसत हुए परिंदे !

रुखसत हुए परिंदे इज़्तिराब शब् होने तक
खैंच लाएगा खूए आबो-ताब सहर होने तक !

तुम रुकते कहाँ ग़र मै कह भी देता ठहर जाओ ज़रा
चलने की तुम्हारी आदत है पैमाना मय होने तक

क्यों दौड़ता मै सरे राह रूह को जो होता किसी करवट आराम
काश ! भर दे कोई इशरत-ए-जाम तिश्नगी होने तक

ज़ुल्फ़ बिखरा के ज़ालिम की अदा मार ही न डाले
ताले का लिखा पढ़ लेना ऐ जलवा:गाह ! शामो-सहर होने तक !

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya – Ghazal-Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair-muqarrar – Ghazal – Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya – Ghazal – Atam Jeet Singh

Raaz-e-rusva ghair muqarrar door jidhar gaya
raazdan ka suragh-rasan phir kidhar gaya ?

Raet par tameer kar bandobast khushfaham
palat kar saaya-e-ragejaan ja ba ja gaya

Khwab-e-pareeshan khamosh ajnabee nava roo-e-tarz
lagta to aisa hee tha besabab idhar gaya !

Parvat manind jazba-e-maidan-e-shahsawar
dum-bad-jang khamdast hisne haseen utar gaya

Phool sare-rakhshan hue tajalli-rezan zarkash kiran
arzoo-e-baharan asar-ravaan gharaz ke sanwar gaya !

ग़ज़ल – ग़रज़ के संवर गया !

राज़ -ए-रुसवा ग़ैर-मुक़र्रर दूर जिधर गया
राज़दाँ का सुराग-रसां फिर किधर गया ?

रेत पर तामीर कर बंदोबस्त खुशफहम
पलट कर साया-ए-रगेजां जा ब जा गया

ख्वाब-ए-परीशाँ खामोश अजनबी नवा रूए-तर्ज़
लगता तो ऐसा ही था बेसबब इधर गया !

पर्वत मानिंद जज़्बा-ए-मैदान-ए-शहसवार
दम-बद-जँग खामदस्त हिस्ने हसीन उतर गया

फूल सरे रख्शां हुए तजल्ली रेज़ाँ ज़रकश किरन
आरज़ू-ए-बहारां असर-रवाँ ग़रज़ के संवर गया !

Ahde vasl-e-jaana se – Ghazal lyrics – Atam Jeet Singh

Ahde vasl-e-jaana se – Ghazal lyrics – Atam Jeet Singh

Ahde vasl-e-jaana se nashad raha !

Ghazal Lyrics – Atam Jeet Singh

Ahde vasl-e-jaana se nashad raha
kya baat thi kyon giriyan-o-zaar raha

Shamma ki lau se roshni to hui
parvane ka raks-e-mai haal raha

Bazaar ki narmi muntazir hai meri
dil-e-pursish ko naahak aitbaar raha

Neemkhwab ta baade-saba chashm-e-bedaar
us kamsukhan ko tera intezaar raha !

Hindi / Devnagiri

ग़ज़ल

ऐहदे वस्ल-ए-जाना से नाशाद रहा
क्या बात थी क्यों गिरियांओ-ज़ार रहा !

शम्मा की लौ से रौशनी तो हुई
परवाने का रक्स-ए-मय हाल रहा

बाजार की नर्मी मुन्तज़िर है मेरी
दिल-ए-पुर्सिश को नाहक ऐतबार रहा

नीम ख्वाब ता बादे सबा चश्मे बेदार
उस कमसुख़न को तेरा इंतज़ार रहा !

Ghamon ke andheron mein – ghazal lyrics – Atam Jeet Singh

Ghamon ke andheron mein – Atam Jeet Singh

Ghamon ke andheron mein – ghazal lyrics – Atam Jeet Singh

Ghamon ke andheron mein ghir gaya hoon main
aakhir kis shai se dar gaya hoon main !

Ghamon ko mitane ka irada baja tha lekin
halaat dekh kar kuch mayus ho gaya hoon main |

Yoon to kaabu pa liya kharabi-e-khooban se maine !
magar kis zabt-e-noor se shikast pa raha hoon main

zabeen par kya likha hai ye soch kar aksar
hashr ka zikr aate hee ghabra gaya hoon main |

Vo dilavez shaffaf chandni aur taaron ki baraat
Na sahi miyane-rau,jaanibe kahkashan ho raha hoon main !

Hindi / Devnagiri

ग़मो के अंधेरों में घिर गया हूँ मैं
आखिर किस शै से डर गया हूँ मैं !

ग़मों को मिटाने का इरादा बजा था लेकिन
हालात देख कर कुछ मायूस हो गया हूँ मैं |

यूँ तो काबू पा लिया खराबी-ए-खूबां से मैंने
मगर किस ज़ब्त-ए-नूर से शिकस्त पा रहा हूँ मैं

ज़बीं पर क्या लिखा है ये सोच कर अक्सर
हश्र का ज़िक्र आते ही घबरा गया हूँ मैं |

वो दिलावेज़ शफ़्फ़ाफ़ चांदनी और तारों की बारात
न सही मियाने-रौ,जानिबे क़हक़शाँ हो रहा हूँ मैं !

Mausam-e-gul

Mausam-e-gul
Sukoonte shab-e-tanhai

Mausam-e-gul; Sukoonte shab-e-tanhai mein

Ghazal lyrics by Atam Jeet Singh

Sukoonte shab-e-tanhai mein acha lagta hai
rasta bhatak jaye hai to acha lagta hai !

Dushmani es tarah nibhao ke hasrat na rahe
dosti mukammal ho jaye acha lagta hai

Kya mausam ki tarah zamane bhi badal jate hain ?
mausam-e-gul ho jao acha lagta hai

gali ka manzar to kehta tha badluga main
kyon thi shah ki talkh nigahee acha lagta hai

सुकूंते शब्-ए-तन्हाई में अच्छा लगता है
रस्ता भटक जाए है तो अच्छा लगता है !

दुश्मनी इस तरह निभाओ के हसरत न रहे
दोस्ती मुकम्मल हो जाये अच्छा लगता है

क्या मौसम की तरह ज़माने भी बदल जाते हैं ?
मौसम-ए-गुल हो जाओ अच्छा लगता है

गली का मंज़र तो कहता था के बदलूंगा मैं
क्यों थी शाह की तल्ख़ निगाही अच्छा लगता है !

Shikwe to honge

Shikwe to honge
pic.by atam jeet singh

Shikwe to honge by Atam Jeet Singh

Shikwe to honge zahir mat karna
Hanste khelte zindagi se guzarna

Nutan Chhavi vandana dhundhla jab jaye
Nirbhay nirmohi hokar aage badhte rehna

Daman karo abhiman kshudra se mukh modo
Kantimay aabha se aatmrat rehna

Vinamr shruti anukampa path par
Mangalmay veena dhvanit karte rehna

शिकवे तो होंगे ज़ाहिर मत करना
हँसते खेलते ज़िन्दगी से गुज़रना

नूतन छवि वंदना धुंधला जब जाये
निर्भय निर्मोही होकर आगे बढ़ते रहना

दमन करो अभिमान क्षुद्र से मुख मोड़ो
कांतिमय आभा से आत्मरत रहना

विनम्र्र श्रुति अनुकम्पा पथ पर
मंगलमय वीणा ध्वनित करते रहना