Blog

Aankh se door na ho – Ahmad Faraz

Aankh se door na ho dil se utar jaayega – Ahmad Faraz

Ghazal – Ahmad Faraz

Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega.

Doobte doobte kashti ko uchhala de du’n,
Mai nahi koi toh sahil pe utar jaayega.

Zindagi teri ata hai toh ye jaanewale,
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaayega.

Zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ko ‘Faraz’,
Zalim ab ke bhi na royega toh mar jaayega.

Ye aur baat ke es ahad ke nazar mein hoon

Ghazal – Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke – Ghazal Obaidullah Aleem ; Singer – Atam Jeet Singh

Ye aur baat ke es ahad ki nazar mein hoon
abhi main kya ke,abhi manzil-e-safar mein hoon

Abhi nazar nahin aisee ki door tak dekhoon
abhi khabar nahin mujhko ki kis asar mein hoon

Pighal rahe hain jahan log shola-e-jaan se
shareeq main bhi usee mehfil-e-hunar mein hoon

jo chahe sada guzare, jo chahe thukra de
pada hua main zamane ki rahguzar mein hoon