Waqt ko teergi se mohabbat si hai

Ghazal : Waqt ko teergi se mohabbat si hai
Lyrics : Atam Jeet Singh

Waqt ko teergi se mohabbat si hai
Zulmat ko ujale se ranjish si hai

Sahil ka ye manzar to baija hai lekin
Kashti ko bhanwar mein doobne ki adat si hai

Tashna lab to aakhir pahunch gaye maikhane saqi
Naseh-munsif ko paimane se nafrat si hai

Khwabe-pareeshan kyon na ho raaton ki thakan
Meri aankhon ko neend se rafaqat si hai

ग़ज़ल –
वक़्त को तीरगी से मोहब्बत सी है
ज़ुल्मत को उजाले से रंजिश सी है

साहिल का ये मंज़र तो बजा है लेकिन
कश्ती को भंवर में डूबने की आदत सी है

तष्ना लब तो आखिर पहुँच गए मैखाने साक़ी
नासेह मुंसिफ को पैमाने से नफरत सी है

ख्वाब-ए-परीशाँ क्यों न हों रातों की थकन
मेरी आँखों को नींद से रफIक़त सी है