
Ghamon ke andheron mein – ghazal lyrics – Atam Jeet Singh
Ghamon ke andheron mein ghir gaya hoon main
aakhir kis shai se dar gaya hoon main !
Ghamon ko mitane ka irada baja tha lekin
halaat dekh kar kuch mayus ho gaya hoon main |
Yoon to kaabu pa liya kharabi-e-khooban se maine !
magar kis zabt-e-noor se shikast pa raha hoon main
zabeen par kya likha hai ye soch kar aksar
hashr ka zikr aate hee ghabra gaya hoon main |
Vo dilavez shaffaf chandni aur taaron ki baraat
Na sahi miyane-rau,jaanibe kahkashan ho raha hoon main !
Hindi / Devnagiri
ग़मो के अंधेरों में घिर गया हूँ मैं
आखिर किस शै से डर गया हूँ मैं !
ग़मों को मिटाने का इरादा बजा था लेकिन
हालात देख कर कुछ मायूस हो गया हूँ मैं |
यूँ तो काबू पा लिया खराबी-ए-खूबां से मैंने
मगर किस ज़ब्त-ए-नूर से शिकस्त पा रहा हूँ मैं
ज़बीं पर क्या लिखा है ये सोच कर अक्सर
हश्र का ज़िक्र आते ही घबरा गया हूँ मैं |
वो दिलावेज़ शफ़्फ़ाफ़ चांदनी और तारों की बारात
न सही मियाने-रौ,जानिबे क़हक़शाँ हो रहा हूँ मैं !